Wagon R vs Swift Hindi Review स्विफ्ट v/s वैगन-आर New WagonR 2019 2020 BS6 Screenshot Download

Get Screenshots!
Wagon R vs Swift Hindi Review स्विफ्ट v/s वैगन-आर New WagonR 2019 2020 BS6 Images
CarComparos 323,910     3,333

Download Wagon R vs Swift Hindi Review स्विफ्ट v/s वैगन-आर New WagonR 2019 2020 BS6 Video Thumbnails

To download for video thumbnails, right-click on the download button and save your computer or mobile device!
QualitySizeDownload
HD Quality1280x720Download
HQ Quality640x480Download
MQ Quality480x360Download
MD Quality320x180Download
SD Quality120x90Download

Wagon R vs Swift Hindi Review स्विफ्ट v/s वैगन-आर New WagonR 2019 2020 BS6 Images

Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 HD quality image
Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 HQ quality image
Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 MD quality image
Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 MQ quality image
Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 thumbnail 1
Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 thumbnail 2
Wagon R vs Swift Hindi Review v/s - New WagonR 2019 2020 BS6 thumbnail 3
Wagonr vs Swift screenshot Carcomparos bild Swift vs wagon r screenshot WagonR Swift thumbnail Wagon R thumbnail WagonR Swift Comparison thumbnail Wagon r 2019 resmi New wagon R thumbnail Wagon r Swift thumbnail Swift WagonR picture

नई वैगन आर v/s मारुति सुजुकी स्विफ्ट हिंदी तुलना

New WagonR 2019 v Maruti-Suzuki Swift Comparison Review Road Test Drive

Transcript / प्रतिलिपि:
Namashkaar doston! CarComparos mein aapka swagat hain. Main hoon aap ka dost Kaushal Choudhary, aur aaj hum nayi WagonR aur Swift ki tulana karenge. WagonR ke top-end model aur Swift ke base model mein sirf tees hazaar rupay ka fark hain! Toh agar aap ka budget che-laakh se kam hain aur aap Swift ka base-model khareedne ki soch rahe hain, toh kya wah sahi nirnay hain? Kyonki usi keemat mein ab Swift ki chassis pe adhaarit,Swift ka engine waali nayi WagonR mil sakti hain aur wo bhi features se bhari hui top-end trim? Lekin Features ke alava, dono mein se kaunsi gaadi jyada kifayati hain, kaunsi jyada tez hain, kiski pakad aur santulan behtar hain, kaunsi jyada smooth hain, kausi jyada tikau hain aur kaunsi jyada araamdaayak hain aise saare sawaalon ka jawaab apaane ke liye, dekhte rahiye CarComparos ka WagonR vs Swift Comparison Video…

Humare aane waale videos ka, aap ke mobile pe, turant notification paane ke liye, humare channel ko subscribe kar ke, iss bell icon pe click karna na bhoolein.

Keemat aur Features:
WagonR ki keemat dekh ke ye pata chal jaata hain, ke Maruti heatect platform ki baaki gaadiyon mein kaise grahakon ko loot raha hain! Swift VXi hi dekh lo. Wah top-end WagonR se assi hazaar rupay mehengi hain. Lekin usmein WagonR se paanch-saat features kam milte hain, jaise Parking Sensors - jo WagonR ke base model se maujood hain, Rear Wash-Wipe-Defogger, Fog Lamps,Electrically Folding Mirrors aur Touch-screen Navigation System with Android Auto aur Apple CarPlay! Swift VXi mein bhi ek-do features maujood hain, jo top-end WagonR mein bhi nahin milte, jo hain Height Adjustable Driver’s Seat, ISOFIX Child Seat Points aur peeche ke do Speakers. Agar samaan keemat ke models ki tulana ki jaye, yane ke Swift LXi Special Edition aur WagonR ZXi, toh Swift mein das-bara feature kam milte hain, jaise Central Locking - jismein Remote waala toh chodo, chaabi waala Central locking bhi nahin milta! Iske alava, Pichli Power Windows, Electrically Adjustable Mirrors, Steering Wheel Switches, Parcel Shelf aur VXi ki tulana mein bataye hue paanch-saat features, Swift waalon ko nahin milte.

Pick-up aur Smoothness:
WagonR ZXi aur Swift dono dikhti alag hain, lekin vaastav mein wah ekhi platform par aadhaarit hain, jo hain Suzuki ka Heartect platform. Oopar se dono gaadiyon mein wohin jaana-maana K12 engine maujood hain. WagonR Swift se tees-paintees kilo halki toh hain, lekin dono gaadiyon ke pick-up mein bilkul bhi fark nahin hain. K12 engine ka low-end torque thoda kamjor hone ki wajah se traffic mein aap ko baar-baar gear badalne padte hain. Lekin high-r.p.m. pe ye engine uske lajawaab pick-up, behtareen smoothness aur tezi se revs pakadne ke kaaran, duniya ke sabse uccha chote petrol mein gina jaata hain! Itna hi nahin, agar aap ko K12 engine ke kamjor low-end-torque se bachna hain, to ab in dono gaadiyon mein AMT-automatic gearbox ka paryaay uplabdh hain, jo aap ko shehri traffic mein baar-baar clutch-gear ragadne ki jhanjhat se bacha sakta hain. Swift mein diesel engine ka paryaay bhi uplabdh hain, jo petrol se kaafi jyada shor machaata hain, aur low-r.p.m. pe usmein turbo-lag ki kaafi samasya hain, lekin do-se-chaar hazaar r.p.m. ke beech uska pick-up petrol se kai guna behtar hain, kyonki uska torque petrol se lagbhag sattar pratishat jyada hain aur wo bhi petrol se do hazaar r.p.m. neeche. Highway par overtaking karne ke liye wah petrol se behat acha hain. Itna hi nahin lambi daud mein Swift diesel, petrol-WagonR se sasti saabit ho sakti hain. Kaise? Aayiye dekhte hain..

Mileage:
K12 waali WagonR ka ARAI mileage petrol-Swift se aadha kpl kam hain! Lekin humare vishleshan mein WagonR-bara-sau ne bilkul utna hi mileage diya jitna Swift ke vishleshan mein hum ne paaya tha. Diesel Swift ka ARAI mileage petrol-WagonR se sade-che kpl behtar hain. Aur humare parikshan mein bhi wah petrol se chaar k.p.l. jyada paaya gaya tha. Iska matlab mahine ke hazaar kilometre running ke hisaab se, paanch-saat saal mein aapko, diesel-Swift mein, indhan bharane par, petrol WagonR se ek laakh rupay kam lagenge. Oopar se diesel Swift ki resale value, petrol-WagonR se takreeban ek-laakh jyada milegi. Iska matlab Swift VDi aur WagonR ZXi lambi daud mein aap ko utni hi mehengi padengi ye yaad rakhna.

Andruni jagah aur Comfort:
Swift WagonR se saat inch lambi hain aur paanch inch chaudi. Lekin iske bawajood, yaatriyon ko nayi WagonR mein Swift se jyada araamdaayak lagta hain! Aisa kyon? Iske do kaaran hain, pehla hain WagonR ki oonchai, jo Swift se che inch jyada hain. Oonchi hone ki wajah se WagonR mein Swift se kai-guna behtar head-room uplabdh hain. Iska faayda uthaate hue Maruti ke engineers ko WagonR ke seats ka base, Swift se ooncha rakhne ka mauka mila hain.

Do you know your iq score?